Hello Friends, Aaj Hum Baat Karenge Call Forwarding or Call Divert Ke Bare Me, Ki Call Forward or Divert Kaise Karte Hai, Call Forwarding or Chalu Kaise Karte or Band Kaise Karte Hai Uski Puri Jankari Duga, Mobile Phones Ne Hamari Lifestyle Ko Bahut Jyada Aasan Bana Diya Hai or Mobile Phone Ke Andar Bahut Sare Aise Features Bhi Hote Hai Jiske Bare Me Aapko Pata Bhi Nahi Hota Par Yeh Features Bahut Useful Hote Hai, Call Forwarding or Call Diverting Bhi Bahut Acha Feature Hai or Me Aapko Bataunga Ki Call Ko Dusre Number Par Forward or Divert Kaise Karte Hai
Sabse Pahle Aapko Jankari Deta Hu Ki Akhir Call Forwarding or Call Diverting Hota Kya Hai or Yeh Kaam Kaise Karta Hai, Call Forwarding or Call Divert Ka Features Bahut Important Hota Hai Agar Aapko Iske Bare Me Jankari Hai to Kyuki Yeh Features Aapko Kisi Android Smartphone Se Lekar Normal Calling Phone Me Dekhne Ko Mil Jayega or Jiski Help Se Aap Ek Call Ko Kisi Dusre Number Par Transfer or Forward Kar Sakte Hai, Agar Aapko Call Transfer Nahi Karna Aata to Yaha Se Aasani Se Sikh Jayenge
- GDPR Kya Hai? Puri Jankari Hindi Me
- Dhani App Kya Hai? Loan Prapat Kaise Kare
- Top 5 Best Antivirus Apps Android Mobile Ke Liye
Call Forwarding Aur Call Divert Kya Hai?
However, Call Forward or Call Diverting Dono Ka Matlab Ek Hi Hota Hai, Jab Aapka Phone Busy Hota Hai Ya Not Reachable Hota Hai to Aap Us Number Ki Sabhi Calls Ko Dusre Number Par Transfer Kar Sakte Hai, Aapka Bhi Koi Personal Sim Card Hoga Jispar Sabhi Calls Aapko Aate Hai or Aap Us Sim Ki Sabhi Calls Ko Second Number Par Prapat Karna Hai to Aapko Call Forwarding Features Ko Use Kar Sakte Hai
What Is Call Forwarding/Call Divert In Hindi? Ek Sim Card Ke Sabhi Calls Ko Kisi Dusri Sim Par Transfer Karne Ko Hi Call Forward or Call Diverting Kahte Hai Yeh Sabhi Phones Me Hota Hai or Sabhi Sim Card Me Isko Enabled or Disabled Karne Ka Aapko Option Milta Hai, Android Phone Ho Ya IPhone Sabhi Me Call Forward Kar Sakte Hai, How to Use Call Forwarding In Hindi Step By Step
Call Forwarding Karne Ke Bahut Sare Fayde Hai Jo Aapko Call Forwarding Start Karne Ke Bad Milte Hai, Janiye Kon Konse Aapko Benefits Milenge
- Agar Aapka Phone Not Reachable Hai or Busy Chal Raha Hai Us Sim Ke Sabhi Calls Ko Dusre Number Par Daal Sakte Hai.
- Agar Aapke Paas Second Sim Card Hai to Personal Sim Card Ke Sabhi Calls Apne Phone Me Le Sakte Hai
- Isse Aapka Koi Bhi Number 24×7 Active Rakh Sakte Hai Yeh Aapko Acha Support Deta Hai
Jab Aap Khud Call Ko Forward Karte Hai to Aapko Fayda Hi Hoga Par Koi Dusra Aapke Calls Ko Apne Number Par Divert Kar Leta to Aapke Sare Calls Uske Paas Chale Jayenge Isliye Aapko Iske Bare Me Dhyan Rakhna Hoga, or Caling Charges Ki Baat Kare to Aapki Normal Calling Charges Ke Bases Par Paise Cut Hoge
Call Forwarding Aur Call Divert Kaise Kare? Step By Step
Yaha Par Me Aapko Android Phone Me Call Forward Karne Ka Tarika Bata Raha Hu, Kyuki Lagbhag Android Users Hi Hai to Sabhi Phones Me Iski Process Same Hi Hogi Abhi Mere Bataye Gaye Steps Ko Follow Kare
Call Forwarding Setting Ko Find Kare
1) Sabse Pahle Aapko Jis Number Ki Call Forward Karni Hai Us Mobile Ke Phone Dialer Ko Open Kare
2) Ab Menu Par Jakar Call Setting Par Jaye, Agar Aapka Normal Phone Hai to Call Setting Ka Option Phone Setting Me Milega
3) Call Setting Me Jane Ke Bad Aapko Call Forward Ya Phir Diverting Ka Option Mil Jayega Us Par Click Kare
4) Ab Aapko Voice Call or Video Call Ke Option Milenge, Yaha Par Voice Call Par Jaye
Call Forwarding Ko Setup Kaise Kare
Ab Yaha Par Aapko 4 Particular Options Milenge Jis Call Divert Ko Aasani Se Manage Kar Sakte Hai Jiske Bare Me Aapko Batata Hu or Aap Apne Hisaab Se Us Option Ko Select Kare
- Always Forward : Agar Aap Chahte Hai Ki Aapko Is Number Par Jitne Bhi Phone Call Aaye to Kisi Dusre Number Par Transfer Ho Jaye to Aapko Always Forward Ka Option Select Karna Hai.
- Forward When Busy : Jab Aap Call Par Baat Karte Hue Busy Hoga Us Time Jo Bhi Phone Calls Aayege Woh Dusre Number Par Transfer Ho Jayegi
- Forward When Unanswered : Jab Aap Kisi Call Ka Jawab Nahi De Rahe Hoge Tab Aapka Call Dusre Number Par Transfer Kar Diya Jayega
- Forward When unReachable : Jab Aap Phone Coverage Se Bahar Hoga or Sampark Nahi Ho Raha Hoga Us Samay Aapki Call Forward Dusre Number Par Ho Jayegi
Ab Koi Bhi Aapna Manpasand Option Par Click Kare or Waha Aapse Woh Number Pucha Jayega Jispar Call Forward Karni Hai or Save Kar De
Is Tarah Se Aapki Call Forwarding Enabled Ho Jati Hai or Aapko Milne Wale Sabhi Calls Dusre Mobile Number Par Divert Kar Diye Jate Hai, Agar Aapko Call Forwarding Ko Deactivate Karna Hai to Niche Bataye Gaye Steps Ko Follow Kare
Call Forwarding Deactivate Kaise Kare?
Agar Aap Call Ko Transfer Karna Sikh Chuke Hai to Aapko Aasani Se Call Transfer Ko Band Kar Sakte Hai, Uske Liye Aapko Phone Dialer > Call Settings > Call Forwarding Me Jakar Aapna Mobile Number Hatakar Call Divert Ko Turn Off Karna Hoga Jis Aapko Calls Forwarding Off Ho Jayegi
Agar Aapko Phir Bhi Doubt Hai Ki Koi Aapki Calls Ko Dusre Number Par Transfer Kar Raha Hai or Aap Check Karna Chahte Hai to Phone Dialer Me Jaye or *#61# Dial Kare Jis Aapki Screen Par Call Forwarding Status Show Hoga, Is Tarah Se Yeh Process Kaam Karta Hai
In Conclusion
How to Use Call-Forwarding Features In All Phones, Call Forward Kya Hota Hai or Call Forwarding or Divert Kaise Karte Hai Uske Bare Me Yaha Par Aapko Puri Jankari Batayi Hai, Me Umeed Karta Hu Aapko Yeh Jankari Helpful Hogi
Isse Related Aapka Koi Bhi Sawaaal Hai to Comment Kare Jis Hum Aapki Puri Tarah Se Help Kare or Apne Dosto Ke Sath Is Jankari Ko Share Jarur Kare
Leave a Reply