अपने खुद की कार्टून अवतार कैसे बनाये?
Hello Friends, Aaj Me Aapko Ek Amazing Tricks Share Karunga Jisme Bataunga Khud Ka Online Cartoon Avatar Kaise Banaye, Agar Aapko Online Avatar Banana Chahte Hai to Uske Liye Aapko Yeh Article Padhna Chahiye, Kyuki Khud Ka Cartoon Avatar Banana Bahut Interesting Hota Hai Kyuki Avatar Funny Hota Hai Jisko Banakar Aap Social Sites Par…
Hello Friends, Aaj Me Aapko Ek Amazing Tricks Share Karunga Jisme Bataunga Khud Ka Online Cartoon Avatar Kaise Banaye, Agar Aapko Online Avatar Banana Chahte Hai to Uske Liye Aapko Yeh Article Padhna Chahiye, Kyuki Khud Ka Cartoon Avatar Banana Bahut Interesting Hota Hai Kyuki Avatar Funny Hota Hai Jisko Banakar Aap Social Sites Par Profile Picture Par Set Kar Sakte Hai.
Aapko Kya Lagta Hai? Profile Avatar Photo Banane Ke Liye Aapko Kon Konse Skills Ki Jarurat Hoti Hai? Sach Pucho to Internet Par Aise Bahut Sare Free Tools or Application Available Hai Jo Aapko Aapke Face Ka Cartoon Avatar Create Karke De Dete Hai
- Mobile Se Blogging Kaise Kare, Top 15 Apps Mobile Blogging Ke Liye
- Google Adsense Policy Update May 2018 in Hindi
- GDPR Kya Hai? Puri Jankari Hindi Me
Online Avatar Banana Bahut Aasan Hai Aap Mobile, Computer or Laptop Se Aasani Se Create Kar Sakte Hai Par Hamara Kaam Sabse Best or Aasan Method Share Karna Hai to Me Aapko Aise Tricks Share Karunga Jisko Follow Karke Free Avatar Photo Bana Sakte Hai to Chaliye Sharu Karte Hai
Khud Ka Cartoon Avatar Kaise Banaye? Step By Step
Cartoonify Ek Aisi Website Hai Jo Aapko Bahut Sare Face Material Deta Hai Jisko Set Karke Aap Aasani Se Avatar Create Kar Sakte Hai Yeh Online Free Tool Hai
Note: Agar Aap Mobile User Hai to Better Experience Ke Liye Chrome Browser Ko Desktop Mode Me Use Kare.
1) Sabse Pahle Cartoonify.de Website Par Jaye
2) Ab Aapko Yaha Par Gender Selection Ka Option Milega, Matlab Aap Female or Male Kiska Cartoon Avatar Bana Rahe Hai Woh Select Kare
3) Ab Cartoon Editor Dikhai Dega Jisko Kuch Is Tarah Se Use Kare, Yaha Par Aapko Face Editing Ke Liye 5 Section Milte Hai
- Face : Face Par Section Me Aapko Shape, Mouth, Nose or Ears Ka Option Milega Jisko Apne Hisab Se Fix Kare
- Eyes : Yaha Par Aapko Eye Shapes, Iris, Eyebrows or Glasses Ka Option Milega Jis Eyes Customize Kar Sakte Hai
- Hair : Yaha Par Aapko On Head, Mustache or Beard Set Karne Ke Option Milenge
- Clothes : Yaha Par Jakar Kapde Change Kar Sakte Hai Aap
- Backs : Yeh Option Background Change Karne Me Aapki Help Kare
Yeh Sab Karne Ke Bad Download Option Par Click Kare Jisko Aap Png or Svg Format Me Apne Cartoon Avatar Ko Download Kar Sakte Hai.
Top 5 Apps to Make Cartoon Avatar
Android Platform Par Aapko Har Tarah Ke Android Apps Mil Jate Hai Jo Bahut Helpful Hote Hai, Android Me Bahut Sare Aise Apps Bhi Hai Jo Aapki Cartoon DP, Stylish Avatar Photo or Khud Ka Cartoon Avatar Banane Me Helpful Hogi.
FaceQ
Create Your Own Avatar Cartoon? FaceQ Ek Powerful Avatar Maker Application Hai, Jaisse Aap Jaise Chahte Hai Waisa Khud Ka Avatar Create Kar Sakte Hai or Iski Sabse Best Baat Yahi Hai Ki Isko Use Karna Behad Aasan Hai, 2 Player Avatar Features Se Aap Combined Avatar Bhi Bana Payege or Aapke Avatar History Store Hogi Jisko Save Kar Sakte Hai.
[appbox googleplay com.miantan.myoface]
Smartphone Avatar
Yeh Dusra Aisa App Hai Jo Mobile Se High Quality Avatar Create Karne Ka Aasan Feature Provide Karta Hai, Isme Bahut Sare Aise Features Bhi Hai Jis Hairstyle, Different Icons or ClipArt Bhi Use Kar Sakte Hai, Meme Banana, Text Type Karna, Avatar Dressing Change Karne Ke Amazing Features Aapko Yaha Milenge
[appbox googleplay com.gombosdev.smartphoneavatar]
Avatar Maker
Kya Aap Khud Ka Cartoon Banakar Usse Profile Picture Set Karna Chahte Hai to Yeh Aisa Hi Karta Hai Jis Anime Cartoon Avatar Create Kar HD Quality Me Download Kar Sakte Hai, Dressed Up or Layout Features Se Aap Apne Avatar Ko Style De Sakte Hai, Yeh Aap Playstore Se Download Kar Sakte Hai
[appbox googleplay jp.co.so_da.android.avatargenerator]
WeeMee
Yeh Meri Top 5 Avatar Apps List Me Final App Hai Jis Aap Apne or Apne Brand Ke Liye Cool or Stylish Avatar Create Kar Sakte Hai or HD Quality Me Download Kar Sakte Hai Uske Sath Yaha Par Aapko Kuch Smart or Extra Features Bhi Dekhne Ko Milenge
[appbox googleplay air.com.weeworld.weemeescenebuilderandroid]
Android Phone Se Avatar Photo Banane Ke Liye Yaha Par Aapko Bahut Help Milegi Mujhe Umeed Hai Aapko Yeh Jankari Pasand Aayegi
Conclusion
Yaha Par Maine Online Tools or Android Apps Mentioned Kiya Hai Jo Mobile Se Avatar Making Me Helpful Hogi, Aaj Maine Aapko Bataya Ki Avatar Kya Hai, Mobile Se Online Avatar Kaise Banaye? Agar Aapka Isse Judha Koi Sawal Hai to Comment Kare
Bahut hi achha info. Aap apna avatar kaise bnaye hai
yeh bnavaya h maine kisi se
आपने बहुत अच्छी जानकारी दी है आपका अवतार भी अच्छा लग रहा है
Maine bhi ek bana liya vikas bro aapke post ke help se 😎