ईमेल आईडी का नाम कैसे चेंज करें
Google Gmail Account Ka Username Kaise Change Karte Hai Aaj Me Aapko Yaha Batane Wala Hu Kyuki Jab Hum First Time Gmail Account Create Karte Hai to Aise Hi Nickname Ya Other Name Se Bana Dete Hai Par Agar Aap Google Gmail Username Change Karna Chahte Hai to Aap Aasani Se Badal Sakte Hai
Agar Aap Android User Hai Ya Internet User Hai to Email ID to Aapke Paas Jarur Hoga Kyuki Gmail Hona Ek Jarurat Ban Chuki Hai, Agar Aapko Social Networking Website Me Account Bhi Banana Hai to Waha Bhi Aapse Gmail ID Pucha Jata Hai, Kya Aap Gmail ID Ka Username Badlna Chahte Hai, Gmail Username Change Kaise Hota Hai Aap Yaha Sikhege
- Airtel Sim Ki Call History, Call Records Aur Detail Kaise Nikale
- India Ke Sabhi Rajyo Ki Rajdhani Ke Naam Ki Jankari
- Google Allo App Ki Jankari Hindi Me, Download Kaise Kare
Google Email ID Ka Username Change Karne Ke Aapko Bahut Sare Method Mil Jayenge Par Me Aapko Sabse Aasan Tareeka Bataunga Jis Aap Google Account Gmail Username Change Kar Sakte Hai
Google Gmail Account Kya Hai?
Aasan Sabdo Me Google, YouTube, Blogger, Gmail, Google Plus Aur Google Drive Jaise Sabhi Google Service Ko Access Karne Ke Liye Aapke Paas Ek Google Account Hona Required Hai, Google Gmail Service Free Provide Karta Hai Jis Aap Khud Ka Gmail Account Create Kar Sakte Hai
Emails Ke Thoroughly Aap Files, PDf & Doc Ke Sath Bahut Kuch Send or Receive Kar Sakte Hai Yeh Fast Aur Free Service Hai, Google Account Ko Gmail Account Kahte Hai Ab Aap Jaan Hi Gaye Hoge Ki Google Gmail Profile Kya Hota Hai
Google Gmail Username Change Kyu Kare, Reasons
Bahut Sare Reasons Aapko Gmail Account Yani Ki Gplus Ka Profile Naam Jis Aap Username Bolte Hai Usse Change Karna Pad Sakta Hai, Normal Yaha Par Me Kuch Reasons Batane Jaa Raha Hu Jiske Chalte Aapko Username Badlne Ki Jarurat Pad Sakti Hai
- Jab Hum Kisi Relatives Ko Email Bhejte Hai Koi Document Ya File Tab Aapka Name Unko Show Hoga Aise Me Aap Aapna Username Edit or Change Kare
- Nikname Ya Funny Name Rakh Dete Hai Jab Email Create Karte Hai Tab Aur Bad Me Aapko Username Pasand Nahi Hai to Aise Situation Me Username Change Kare
- Spelling Mistakes, Legal Name Aur Fake Names Ko Edit Karne Ke Liye Aap Google Gmail Username Change or Edit Kar Sakte Hai
Aise Hi Bahut Sare Reasons Create Ho Sakte Hai Aisi Situation Me Aap Mere Bataye Gaye Is Tutorial Se Name Badal Sakte Hai Aur Suitable Name Set Kar Sakte Hai
Google Gmail Username Kaise Change Aur Edit Kare
Ab Me Aapko Step By Step Google Gmail Ki User Id Change Kaise Karte Hai Bataunga Agar Apne Mistake Se Galat User Naam Lagaya Hu to Aap Usse Edit Kar Sakte Hai
Step 1. Sabse Pahle Aapko MyAccount.Google.Com Par Jana Hai Yaha Se Aap Apne Google Gmail Profile Ko Update Kar Sakte Hai
Step 2. Yaha Jane Ke Bad Login Kare, Google Email Aur Password Daalkar Aap Login Kar Sakte Ha
Step 3. Login Karne Ke Bad Your Personal Info Par Click Kare Jaise Ki Screenshot Me Dikhaya Gaya Hai
Step 4. Ab Aapke Samne Aapka Name Aur Mobile Number Sab Dikhayi Dega Jispar Aapka Google Gmail Id Bana Hua Hai Aapko Simply Name Par Click Karna Hai
Step 5. Ab Aapse Password Dubara Pucha Jayega Yaha Par Aapna Password Daale or Next Par Click Kare
Step 6. Ab Aapke Samne Ek Popup Khulega Jisme First Name Aur Last Name Hoga Jis Aap Apne Hisaab Se Edit Kar Sakte Hai
Yaha Aapna Woh Username Fill Kare Jo Aap Apne Google Gmail ID Me Rakhna Chahte Hai Aur Uske Bad Save Kar De
Jis Aapka Username Change Ho Jayega, Bahut Hi Simple Method Hai Ab Aap Bhi Apne Gmail Ke Username Ko Change Kar Sakte Hai
- Facebook Stylish Name List for Boys & Girls 2018
- Blog or Website Traffic Kaise Badhaye Top 7 Tips
- Facebook Stylish Name Convertor Tool
Conclusion :
Google Gmail Profile Ka First Name or Last Name Edit Kaise Kare Iske Bare Me Aapko Hindi Me Step By Step Jankari Ke Sath Samjhaya Hai, Google Account Naam Change User ID Kaise Change Kare, Google Plus Profile Edit Kaise Kare
Aaj Apne Google Gmail Username Change Karne Ke Bare Me Sikha Jis Aap Jaan Gaye Hai Ki Google Account Ka User Name Kaise Chage Kiya Jata Hai, Umeed Karta Hu Aapko Yeh Jankari Pasand Aayi Hogi, Agar Koi Bhi Aapka Sawaal Jawaab Hai to Comment Jarur Kare
Niche Diye Gaye Facebook & WhatsApp Share Se Share Karna Mat Bhule 🙂
Bhai bahut hi badhia and informative jankari shared ki hai aapne. Thank you.
Bhai mujhe toh gmail id bhi change karne aata hai yani example mera gmail hai abcd@gmail.com ise bhi mujhe change karne aata hai
Change krne k bad jin users k pasa mera email id hai o chenge ho jayega???
haan ho jayega