Facebook Use Karne Ke Nuksan, Bad Side Effects of Facebook
Kaise Ho Dosto Me Aapse Kuch Puchna Chahta Hu Facebook Aapke Liye Good Effects Hai Ya Bad Side Effects, Matlab Facebook Use Karne Ke Nuksan Hai Ya Faide? Previous Article Me Humne Facebook Se Hone Wale Fayde in Hindi Ke Bare Me Charcha Ki Thi Par Aaj Aapko Usse Ulta Batane Jaa Raha Hu Aaj Aapko Facebook Use Karne Ke Nuksan Bataunga Jisme Aap Facebook Se Hone Wale Bad Side Effects or Facebook Addiction Ke Bare Me Bataunga, Facebook Use Karne Ke Bahut Faide Hai Par Agar Aap Facebook Ko Fun Ke Liye Ispar Jyada Time Bitate Hai to Yeh Aapki Buri Lat Hai Jisko Dur Karna Bahut Muskil Hai.
Waise Hum Sabhi Yeh Jaante or Maante Hai Ki Har Achai Ke Piche Burai Jarur Hoti Hai Waise Hi Facebook Hai, Facebook World Ki Sabse Jyada Use Ki Jane Wali Site Hai (Pahli Google Hai) or Isko Banane Wale Mark Zuckerberg Ne Bhi Yeh Kabhi Nahi Socha Tha Ki Yeh Bahut Jaldi Itni Popular Ho Jayegi, Is Article Me Hum Facebook Ke Nuksan (Side Effects) Ke Bare Me Charcha Karenge.
Bad Effects Of Facebook Disadvantages Aapko Real Life Me Show Nahi Hote Yeh Internally Aapko Nuksan Karenge Jo Aapko Is Article Me Batane Wala Hu, Jyada Use Karne Se Negative Thinking Observed Ho Jati Hai Jis Aapki Mental Health Kharab Ho Jati Hai.
Facebook Use Karne Ke Nuksan – Bad Side Effects of in Hindi
Hum Jab Facebook Use Karte Hai to Usse Positive or FacebookNegative Dono Tarah Ka Effect Sidhe Aapke Mind Par Padta Hai Jis Bad Side Effects Ho Jate Hai, Ab Aapko Pata Hoga Yeh Hamari Liye Achi Hai Ya Buri, Facebook Par Bahut Sare Negative Points Hai Jo Aapko Maansik (Mentally) Bimaar Kar Sakte Hai.
Ab Aapko Facebook Use Karne Ke Nuksaan Bataunga Jis Aap Facebook Negative Points Jo Aapke Liye Nuksandayak Hai Jaaniye Kya Hai Wo.
Samay Ki Barbaadi – Time Wasting
Facebook Ko Use Karne Ke Liye Limit Hona Bhi Bahut Jaruri Hai Kuch Teenagers Sara Din Facebook Use Karte Hai Jis Unko Ek Tarah Se Facebook Ki Lat (Addition) Lag Jati Hai Jisko Dur Karna Bahut Muskil Hai, Teenagers Ke Liye Time Ki Value Bahut Jyada Hoti Hai Kyuki Yahi Time Hota Hai Kuch Karne Ka, Issi Time Me Woh Sara Din Social Media Network Par Bita Dete Hai, Aap Bhi Facebook Me Login Karne Ke Bad Yeh Bhul Jate Hai Ki Facebook Login Kyu Kiya Tha or Likes or Comments Ki Duniya Me Khoo Jate Hai or Aapko Pata Bhi Nahi Chalta Kitna Time Barbaad Ho Chuka Hai.
Likes Ki Ginti – Numbers Of Like
Kuch Log Aise Bhi Hai Jo Subah Uthne Ke Bad Facebook Posts Par Likes Check Karte Hai or Likes Ke Chakkar Me Aapna Pura Din Barbaad Kar Dete Hai, Facebook Par Aapke Photo Ne Kitne Logo Ne Like Kiya Hai or Kitno Ne Comment Kiya Hai Sara Din Aapke Dimag Me Yahi Chalta Rahta Hai or Jab Aapka Koi Friend Aapki Photos Ko Like Karna Bhul Jata Hai to Aap Bewajah Dhukhi Ho Jate Hai, Yahi Numbers Of Like Chakkar Hai Jaise 99 Ka Chakkar Hai Thik Usi Tarah, Dusro Ke Jyada Likes Dekhkar Negative Thinking Point Ban Jata Hai.
Facebook Security & Privacy
Hum Sab Jaante Hai Ki Facebook Open Source Network Hai Yaha Par Aap Apni Photo Share Karte Hai or Sabhi Aisa Hi Karte Hai or Issi Bich Aap Apni Privacy or Security Ko Bhul Jate Hai, Kya Apne Kabhi Socha Hai Ki Aapka Koi Friend Uss Photo Ka Galat Use Bhi Kar Sakta Hai, Facebook Use Karne Ke Nuksaan Ki Baat Kare to Aapko Bahut Mil Jayenge, Facebook Security and Privacy Bahut Strong Hai Jis Aap Apni Personal Data Ko Security De Sakte Hai, Facebook Personal Identity Hide Karne Ka Tarika Jarur Padhe.
Side Effects Of Students
Students Ke Liye Facebook Ek Sharaap Ki Tarah Hai Kyuki Yeh Study Ko Mind Se Dur Kar Deti Hai Jis Unka Aksar Result Kharab Rahta Hai, Aap Facebook Use Karne Wale Student or Bina Facebook Use Karne Wale Student Ka Result Dekh Kar Yeh Dekh Sakte Hai Ki Student Ke Liye Facebook Kitni Nuksandayak Hai, Messenger Ki Notification Unko Disturb Karti Hai Unko Padhai Me Bilkul Man Nahi Lagta, Waise Facebook Online Study Ke Liye Best Source Hai Yaha Par Aapko Aise Group Milenge Jo Study Course Ki Free Training Dete Hai.
Facebook Se Desperation (Chidchidapan)
Ji Haan Dosto, Facebook Se Aap Desperation Me Jaa Sakte Hai Kabhi Kabhi Facebook Ki Wajah Se Aisa Mahool Ban Jata Hai Jo Aapki Dimagi Haalat Kharab Kar Sakti Hai, Facebook Par Har Koi Tour, Trip & Achievements Ki Pics Share Karte Hai Jis Aapke Mind Me Negative Think Create Hogi or Aapko Lagega Ki Aapko Choddkar Sabhi Khus Hai or Isse Aap Desperation Ho Sakte Hai, Aapbe Aksar Dekha Hoga Ki Facebook User Hamesha Chidchide Sawbhav Ke Hote Hai Yahi Facebook Use Karne Ka Nuksan Hai
Facebook Par Fraud or Cheating
Hum Sabhi Jaante Hai Ki Facebook Par Billions Account Hai Par Sabhi Ki Identity Real Hona Jaruri Nahi Hai, Bahut Sare Facebook Fake Account Aapko Dekhne Me Mil Jayenge, Aise Logo Par Bharosa Karna Hi Aapki Sabse Badi Galti Ho Sakti Hai, Facebook Par Kisi Unknown Ko Apni Koi Bhi Personal Details Share Na Kare, Tv News Par Aksar Facebook Par Hone Wale Fraud Ke Bare Me Sunte Aaye Hai, Facebook Terms & Policy Community Me Bahut Sare Badlav Kiye Gaye Hai Jis 2020 Tak Facebook Par Aapko Koi Fake Account Nahi Milega, Iske Bare Me Next Post Me Batane Wala Hu.
Facebook Account Ko Verified Karne Ka Tarika or Facebook Account Block Karne Ka Tarika Jarur Padhe, or Aap Apne Facebook ID Ko 10 Security Tips Se Security De Sakte Hai Yeh Post Jarur Padhe.
Facebook Use Karne Ke Nuksan Ko Aap In Points Me Dekh Sakte Hai Aaye Din Facebook Ke Selfie Lete Time Mout Ki News Sunte Hai or Facebook Office Me Employees Ki Productivity Ko Low Kar Deta Hai or Kya Aapko Pata Hai Aap Mood Facebook Ki NewsFeed Ki Tarah Badalta Hai Jab Aap Positive Post Dekhte Hai to Aap Positive Sochte Hai Isse Negative Think Bhi Create Ho Sakti Hai.
Yeh Aapko Internet Se Alag Kar Deta Hai Waise Yeh Internet Server Par Hi Hai Par Agar Aap Isme Login Kar Lete Hai to Baki Sab Kuch Bhul Jate Hai, Facebook Use Karne Ke Nuksan Aapko Dikhai Nahi Dete Par Unka Effects Bahut Harmful Hai.
bahut acha topic heah bhai bhut unique hea abhi takh kabhi kisinea itni achi sea facebook ki side effects nahi bataiyah
Keep Visit Bro
Hello
Good article.
I agreed +1
Thanks Brother