क्रोम वेब ब्राउज़र क्या है और इसके प्रकार

Friends, Agar Aap Google Chrome Browser Use Karte Hai to Aapko Pata Hoga Ki Isse Mostly 4 Versions Me Released Kiya Gaya Hai or Bahut Sare Internet Users Ko Confusion Hota Hai Ki 4 Version Launch Kyu Kiye Gaye Hai or Inme Farak Kya Hai, Aaj Me Aapko Google Different Versions Ko Hindi Me Explain…

Friends, Agar Aap Google Chrome Browser Use Karte Hai to Aapko Pata Hoga Ki Isse Mostly 4 Versions Me Released Kiya Gaya Hai or Bahut Sare Internet Users Ko Confusion Hota Hai Ki 4 Version Launch Kyu Kiye Gaye Hai or Inme Farak Kya Hai, Aaj Me Aapko Google Different Versions Ko Hindi Me Explain Karunga.

Google Chrome Stable Beta Dev Canary Chromium

Dosto Google Chrome Browser Best Browser Isiliye Hai Kyuki Isko 3 Versions Se Bugs Ko Fixing Karke Aapko Google Chrome Stable Channel Me Diya Jata Hai, Chrome Jisko Aap Normally Use Karte Hai Usse Pahle 3 Other Chrome Browser Me Testing Ki Jati Hai or Puri Tarah Se Bug Fixing Karke Aapko Diya Jata Hai

Google Chrome Browser Ko Normally 4 Channels Me Divided Kiya Gaya Hai Jisko Me Abhi Explain Karunga, Yaha Par Aap Chrome Stable Kya Hai? Chrome Beta Kya Hai or Chrome Dev or Canary Version Kya Hai In Sabme Antar Kya Hota Hai

Google Chrome Versions Differences Explained In Hindi

However, Chrome Browser Ko Computer or Mobile Dono Me Use Kar Sakte Hai or Dono Platform Me 4 Versions Diye Gaye Hai, Google Chrome Browser Ko 4 Channel Me Banta Gaya Hai Jo Kuch Is Tarah Se Hai —

  • Google Stable Channel
  • Google Beta Channel
  • Google Developer Channel
  • Google Canary Channel

1. Google Chrome Stable Version Kya Hai?

Yeh Fully Stable Version or Sabse Safe Version Hota Hai, Is Version Me Aapko Koi Bhi Bugs or Errors Dekhne Ko Nahi Milega or Agar Aapko Normal or Stable Version Chahiye to Aapko Normal Chrome Version Use Karna Chahiye, Iska Major Updates Every 6 Weeks Me Diya Jata Hai or Minor Updates Ki Baat Kare to 2-3 Weeks Me Aapko Chote Mote Updates Mil Jayenge

2. Google Chrome Beta Version Kya Hai?

Beta Channel Me Aapko Testing New Features Dekhne Ko Mil Jayenge or Yaha Par Aapko Chhote Mote Bugs Bhi Dekhne Ko Milenge, Yaha Par Jo Bhi Bugs Milta Hai Usko Fix Karke Chrome Ke Stable Version Me Diya Jata Hai, Yeh Chrome Ka Testing Channel Hai, Updates Ki Baat Kare to Major Updates Aapko Every 6 Weeks Me Dekhne Ko Milenge or Minor Updates Aapko Weekly Mil Jate Hai

3. Google Chrome Developer Version Kya Hai?

Google Chrome Community Developers Jab Koi Bhi Update Ya Fix Karte Hai to Woh Google Chrome Dev Me Hota Hai, Jab Bhi Koi New Features Banta Hai to Usse Testing Ke Liye Developers Channal Ko Diya Jata Hai or Yaha Uska Full Testing Hota Hai Success Hone Ke Bad Usko Beta Version Ko Diya Jata Hai, Agar Aap New Chrome Features Testing Karna Chahte Hai to Aapko Developer Channel Use Karna Chahiye or Yaha Bahut Jyada Updates Milte Hai.

4. Google Chrome Canary Version Kya Hai?

Agar Chrome Me Kuch Bhi Change Hoga to Devlopers Usme Change Karte Hai to Woh Canary Version Me Hota Hai, Yaha Par Bugs or Errors Bahut Mil Sakte Hai Kyuki Yaha Par Live Testing Hoti Hai or Bahut Sare Updates Dekhne Ko Milte Hai, Yeh Open Source Chromium Project Par Work Karta Hai.

Chrome Browser Windows 64 Bit or 32 Bit, Android, iOs, Linux or Mac Sabhi Tarah Ke Operating System Me Available Hai or Yeh Sabhi Me Best Browser Ke Roop Me Jana Jata Hai, Jab Bhi Aapko Koi Bhi Chrome Update Milta Hai to In 4 Channels Me Uski Testing Hoti Hai or Aapko Bug Free Update Milta Hai.

Is Sab Process Ko Chromium Project Kahte Hai Jis Chrome Ko Behtar Devlop Karne Me Help Milti Hai, Chrome Browser Ke Beta, Dev or Canary Me Kya Farak Hai Uske Bare Me Puri Jankari Hindi Me Aapko Kaisi Lagi Hume Comments Me Jarur Bataye? Jis Hum Aapke Liye Aise Hi Unique Information Share Karte Rahege

Ask your question here

2 Comments

  1. Stable Hi Hai Kyuki Yeh Aapko Koi Bhi Bug Or Error Nahi Deta Sabse Perfect Version Hoga Ek Blogger Ke Liye