PayPal क्या है और PayPal अकाउंट कैसे बनाये
Paypal Kya Hai Kya Aap Paypal Ke Bare Me Jante Hai, Agar Nahi Jante to Koi Baat Nahi Yeh Ek Informative Article Hai or Yaha Par Aapko Paypal Ke Bare Me Bataunga or Aapko Bataunga Ki Paypal Kya Hai or Yeh Hamare Daily Life Me Kis Tarah Se Kaam Aa Sakta Hai or Aapko Paypal Account Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye Jis Aap Aapna Khud Ka Paypal Account Bana Sakte Hai to Usse Pahle Aap Yeh Jaan Le Ki Paypal Kya Hai
International Pay Send or Received Karne Ke Liye Paypal Bahut Hi Acha Source Hai, Agar Aapko World Ke Kisi Bhi Country Me Paise Transfer Karne Hai to Paypal Ki Madad Se Aap Yeh Kar Sakte Hai, Paypal Ka Account Aapke E-mail Address Se Connected Hoga or Jab Aapko Koi Paise Transfer Karega to Woh Apne Paypal Account Me Jakar Aapke Email Par Paise Transfer Kar Dega or Aapke PayPal Me Paise Aa Jayenge, Paypal 190 Country Se Connected Hai Jis Aap 190 Desho Me Paypal Ka Istemaal Kiya Jata Hai or Lakho Log Rojana Paypal Me Paise Received or Send Karte Hai
- Android Mobile Ki Hanging Problem Ko Fix Kaise Kare
- Bhim App Kya Hai? Bhim App Ke Bare Me Jankari
- SEO Kya Hai, Seo Kaise Kare
What Is Paypal – Paypal Account Kya Hai
Paypal Ek Website Hai Jis Aap International Payments Bahut Hi Aasani Se Kar Sakte Hai, Agar Aap Bhi Online Kaam Karte Hai or Aapko Online Pay Send or Received Karne Ke Liye Best Service Chahiye to Paypal Se Best or Secure Koi Nahi Hai, Paypal U.S.A Ki Most Trusted Website Hai Jis 1998 Me Banaya Gaya Tha, Online Payment Service Ke Liye Aap Paypal Ko Use Kar Sakte Hai
Jab Koi Online Work Start Karta Hai to Usse Online Payment Service Ke Liye Best Service Ki Jarurat Hoti Hai Jis Woh Online Payment National or International Me Send or Receive Kar Sakta Hai, 190 Country Me PayPal Ka Use Kiya Jata Hai or 100 Milions Se Bhi Jayada PayPal Accounts Hai
Paypal Account Banane Ke Liye Aapko Kya Kuch Chahiye? Kya Aap Paypal Par Aapna Account Banana Chahte Hai? to Aapko Aapna Bank Account, Pan Card & Debit or Credited Card , Email Address, Mobile Number or Mailing Address Chahiye In Sab Ki Help Se Aap Aapna Khud Ka Verified Paypal Account Bana Sakte Hai, Paypal Par Aap Electronic Fund Transfer (EFT) Ke Throght Pay Send or Received Kar Sakte Hai Matlab Ki Aap Online Business Karte Hai to Mostly Aapke Paas Ek Paypal Account Hona Jaruri Hai to Janiye PayPal Account Banakar Uska Use Kaise Kare..
Paypal Account Kaise Banaye? – Full Method In Hindi
Paypal Ke Bare Me Mene Aapko Guide Se Bataya Jis Padhkar Aapko Pata Chal Gaya Hoga Ki Paypal Kya Hai Paypal Service Ka Use Kaise or Kis Liye Kiya Jata Hai, Par Iske Liye Aapke Paas Paypal Account Hona Jaruri Hai to Janiye Paypal Account Kaise Banaye
Step-1 Sabse Pahle Paypal.Com Par Jaye, or Sign Up Par Click Kare
Step-2 Ab Aap Paypal Par 2 Types Ke Account Bana Sakte Hai, Individual or Business In Me Se Koi Bhi Select Kare or Continue Par Click Kare
Paypal Kya Hai Paypal Par Account Kaise BanayeStep-3 Account Type Select Karne Ke Bad Aapko Email or Password Set Karna Hoga Kuch Is Tarah Se
- Country Select Kare
- Aapna Email Address Type Kare
- Aapna Password Type Kare
- Continue Button Par Click Kare
Step-4 Continue Par Click Karne Ke Bad Aapke Samne Sign Up Form Aayega Usse Kuch Is Tarah Se Bhare –
- Aapna Full Name Type Kare First, Middle or Last Name Ke Sath
- Apni Date Of Birth Type Kare
- Nationality Option Me Aapko Apni Country (Desh) Select Karna Hai
- Ab Aapna Full Address Likhe
- Mobile Number Ke Box Me Aapna 10 Digit Mobile Number Type Kare
- Agree Policy Ko Tick Kare
- Uske Bad Agree & Create Account Par Click Kare
Step-5 Ab Aapke Screen Par Aapse Card Add Karne Ko Bola Jayega Yaha Aapko Credit Card Ya Debit Card Ko Add Karna Hai, Aap Apne Card Ki Full Details Fill Kare or “Link Card” Par Click Kar De, Agar Aapke Paas Card Nahi Hai to Aap “I’ll Link My Card Later” Par Click Kar De
Step-6 Ab Aapka Paypal Account Puri Tarah Se Create Ho Chuka Hai, Aap Niche Ke ScreenShot Me Dekh Sakte Hai
Aapko Apne Paypal Account Ko Full Verified Karne Ke Liye Yeh 3 Chize Aapko Apne Paypal Account Me Add Karna Hoga
- Bank Account – Paise Receive Karne Ke Liye
- Pan Card – Account Verification Ke Liye
- Debit or Credit Card – Paise Send Karne Ke Liye
- Andhara Bank Me Net Banking Kaise Start Kare
- Keyword Tool Se Keyword Kaise Find Kare
- DND Kya Hai DND Kaise Enable Kare
Aap Apne Paypal Account Me Bank, Pan Card or Debit Ya Credit Card Add Karne Ke Bad Aap Apne Paypal Account Ko 100% Verified Account Bana Sakte Hai, Paypal Account Online Payment Service or International or National Payments Send, Receive or Transfer Karne Ke Liye Kiya Jata Hai, Aap Online Shopping Karte Time Bhi Paypal Ka Use Karke Easy to Payment Kar Sakte Hai
Aaj Apne Paypal Ke Bare Me Achhe Se Jana Ab Aap Jan Chuke Hai Ki Paypal Kya Hai or Paypal Par Account Kaise Banaya Jata Hai Agar Aapko Kuch Puchna Hai Aapka Koi Sawaal Jawaab Hai to Comments Me Aap Puch Sakte Hai, Sahu4You Par Visit Karne Ke Liye Dhanaywaad 🙂
Bahut hi uhmda Jankari share kiya hai very good bhai
Thanks For Feedback 🙂
Kya paypal ac koi bhi bank se se activate kar sakte hai kya
Haan Aap Connected Kar Sakte Hai